sunaa hai apnii barbaadii ke afsaane kahaa.n jaate

Arshi Aurangabadi
MORE BYArshi Aurangabadi
sunaa hai apnii barbaadii ke afsaane kahaa.n jaate
tiraa dar chho.Dkar kar KHvaaja ye diivaane kahaa.n jaate
hamesha bhiik ham ne to isii chaukhaT se paa.ii hai
ham apnaa daaman-e-ummiid phailaane kahaa.n jaate
tumhaare sar pe KHvaaja taaj hai mushkil-kushaa.ii kaa
ham apnii uljhane.n auro.n me.n suljhaane kahaa.n jaate
zamaane bhar ko daaru-e-shifaa is dar se miltii hai
ham apne dil ke gahre zaKHm dikhlaane kahaa.n jaate
muqaddar hai azal se jab yahii.n marnaa yahii.n jiinaa
to phir ai shama'-e-sanjar tere diivaane kahaa.n jaate
jabiino.n par na hotaa naqsh gar is aastaane kaa
Gulaamaan-e-mu’ii.n mahshar me.n pahu.nchaane kahaa.n jaate
dar-e-KHvaaja pe big.Dii qismate.n bantii hai.n ai ‘arshii’
ham apnii lauh-e-peshaanii badalvaane kahaa.n jaate

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.