KHudaa kii shaan hai shaan-e-mohammad
KHudaa kii shaan hai shaan-e-mohammad
miraa iimaan hai iimaan-e-mohammad
bahut mushkil hai phir irfaan us kaa
hai jis hastii ko irfaan-e-mohammad
sadaa-e-mast mastaan-e-mohammad
kalaam-e-haq hai diivaan-e-mohammad
unhii.n kii shaan me.n qur.aan utraa
aziimushshaan hai shaan-e-mohammad
KHudaa ko mai.n ne paayaa hai unhii.n se
bhulaa duu.n kaise ehsaan-e-mohammad
mere dil ko na miTTii khaa sakegii
mire dil me.n hai armaan-e-mohammad
isii ummiid par zinda hai.n ‘maajid’
bane.nge ham bhii mehmaan-e-mohammad
KHudaa kii shaan hai shaan-e-mohammad
miraa iimaan hai iimaan-e-mohammad
bahut mushkil hai phir irfaan us kaa
hai jis hastii ko irfaan-e-mohammad
sadaa-e-mast mastaan-e-mohammad
kalaam-e-haq hai diivaan-e-mohammad
unhii.n kii shaan me.n qur.aan utraa
aziimushshaan hai shaan-e-mohammad
KHudaa ko mai.n ne paayaa hai unhii.n se
bhulaa duu.n kaise ehsaan-e-mohammad
mere dil ko na miTTii khaa sakegii
mire dil me.n hai armaan-e-mohammad
isii ummiid par zinda hai.n ‘maajid’
bane.nge ham bhii mehmaan-e-mohammad
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 176)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.