Font by Mehr Nastaliq Web

baKHt-e-KHufta ne mujhe rauza pe jaane na diyaa

Mustafa Raza Khan

MORE BYMustafa Raza Khan

    baKHt-e-KHufta ne mujhe rauza pe jaane na diyaa

    chashm-o-dil siine kaleje se lagaane na diyaa

    aah qismat mujhe duniyaa ke Gamo.n ne rokaa

    haaye taqdiir ki taiba mujhe jaane na diyaa

    paa.nv thak jaate agar paa.nv banaataa sar ko

    sar ke bal jaataa zo.af ne jaane na diyaa

    sar to sar jaan se jaane kii mujhe hasrat hai

    maut ne haaye mujhe jaan se jaane na diyaa

    ab kahaa.n jaa.egaa naqsha tiraa mere dil se

    tah me.n rakhaa hai use dil ne gumaa.n ne na diyaa

    aur chamaktii sii Gazal ko.ii pa.Dhvaa.e 'nuurii'

    ra.ng apnaa abhii jamne sho.araa ne na diyaa

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Owais Raza Qadri

    Owais Raza Qadri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now