band ’isyaa.n me.n pa.Daa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas

Afzal Hussain Asdaqi
MORE BYAfzal Hussain Asdaqi
Interesting Fact
منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
band ’isyaa.n me.n pa.Daa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
kis tarah ham ho.n rihaa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
aap hai.n mulk-e-'arab me.n aur banda hind me.n
duur aisaa huu.n pa.Daa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
ek ham hai.n aur hai.n iimaan ke dushman hazaar
aap ne iimaa.n bachaayaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
kyaa kahuu.ngaa jab ki khole.nge ’amal-naama miraa
aap big.Dii dii.n banaa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
haal kyaa hogaa hamaaraa hashr ke maidaan me.n
jo na karnaa thaa kiya yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
aap jaldii le.n KHabar merii hamaare shaah-e-dii.n
dii.n lab-e-mo’ajiza hilaa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas
aap ke hazrat me.n itnii 'arz karataa hai 'faqiir'
jaam-e-vahdat do pilaa yaa shaah-e-shaahaa.n al-Giyaas

- Book : Diwan-e-Afzal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.