bashar se sanaa kyaa ho hazrat-alii kii
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت مولیٰ علی (نجف۔عراق)
bashar se sanaa kyaa ho hazrat-alii kii
KHudaa jaantaa hai haqiiqat alii kii
tariiqat me.n hai farz ulfat alii kii
hai iimaan-e-aarif mohabbat alii kii
bulaa kar shab-e-vasl hazrat ko haq ne
dikhaa dii sar-e-arsh suurat alii kii
jise saraasar kahte hai.n suufii
vo hai ibtidaa-e-haqiiqat alii kii
abhii le u.De.n sab zamiin-e-najaf ko
malak par khule gar haqiiqat alii kii
ilaahii vo din mujh ko aa.nkho.n se dikhlaa
ki dekhuu.n najaf jaa ke turbat alii kii
zamiin aasmaan hai.n ye sab chaaro.n ke
kahii.n un se pahle hai KHilqat alii kii
alii quvvat-e-baazuu-e-mustafaa hai
hai zor-e-yadullaah taaqat alii kii
nikaale zulaiKHaa bhii yuusuf ko apne
dikhaataa hai 'akbar' bhii suurat alii kii
bashar se sanaa kyaa ho hazrat-alii kii
KHudaa jaantaa hai haqiiqat alii kii
tariiqat me.n hai farz ulfat alii kii
hai iimaan-e-aarif mohabbat alii kii
bulaa kar shab-e-vasl hazrat ko haq ne
dikhaa dii sar-e-arsh suurat alii kii
jise saraasar kahte hai.n suufii
vo hai ibtidaa-e-haqiiqat alii kii
abhii le u.De.n sab zamiin-e-najaf ko
malak par khule gar haqiiqat alii kii
ilaahii vo din mujh ko aa.nkho.n se dikhlaa
ki dekhuu.n najaf jaa ke turbat alii kii
zamiin aasmaan hai.n ye sab chaaro.n ke
kahii.n un se pahle hai KHilqat alii kii
alii quvvat-e-baazuu-e-mustafaa hai
hai zor-e-yadullaah taaqat alii kii
nikaale zulaiKHaa bhii yuusuf ko apne
dikhaataa hai 'akbar' bhii suurat alii kii
- Book : Ruhani Guldasta (Pg. 39)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Khanqah Sajjadia Abulolaiya, Danapur (2012)
- Edition : First
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 275)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.