bahaar-e-baaG-e-jannat hai bahaar-e-rauza-e-saabir
Interesting Fact
منقبت درشان صابر پاک حضرت علی احمد (کلیر۔اترا کھنڈ)
bahaar-e-baaG-e-jannat hai bahaar-e-rauza-e-saabir
javaar-e-arsh-e-aalaa hai jvaar-e-rauza-e-saabir
yahaa.n be-parda allaah-o-nabii kii diid hotii hai
hame.n makka madiine hai dayaar-e-rauza-e-saabir
zamii.n kaliyar kii rauza kii fazaa par naaz kartii hai
falak hotaa hai phir phir kar nisaar-e-rauza-e-saabir
yahaa.n par murda-dil aakar hayaat-e-taaza paataa hai
bahaar-e-jaavedaa.n hai hamkanaar-e-rauza-e-saabir
rahe ra.ngii.n chaman KHuun-e-shahiidaan-e-mohabbat se
sadaa phuule-phale ye laalaa-zaar-e-rauza-e-saabir
banaa.uu.n Gaaza ruKHsaar-e-iimaa.n KHaak-e-kaliyar kii
mirii aa.nkho.n kaa surma ho Gubaar-e-rauza-e-saabir
tasavvur se nazar me.n kau.ndtii hai.n bijliyaa.n 'bedam'
ajab pur-nuur hai.n naqsh-o-nigaar-e-rauza-e-saabir

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.