bhar do jholii merii yaa mohammad lauT kar mai.n na jaa.uu.ngaa KHaalii

Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
bhar do jholii merii yaa mohammad lauT kar mai.n na jaa.uu.ngaa KHaalii
kuchh navaaso.n kaa sadqa ataa ho dar pe aayaa huu.n ban kar savaalii
haq se paa.ii vo shaan-e-kariimii marhabaa dono.n-aalam ke vaalii
us kii qismat kaa chamkaa sitaara jis pe nazr-e-karam tuu ne Daalii
zindagii baKHsh dii bandagii ko aabruu diin-e-haq kii bachaa lii
vo mohammad kaa pyaaraa navaasaa jis ne sajde me.n gardan kaTaa lii
hashr me.n un ko dekhe.nge jis dam ummatii ye kahe.nge KHushii se
aa rahe hai.n vo dekho mohammad jin ke ka.ndhe pe hai kamlii kaalii
aashiq-e-mustafaa kii azaa.n me.n allaah allaah kitnaa asar thaa
arsh vaale bhii sunte the jis ko kyaa azaa.n thii azaan-e-bilaalii
kaash 'purnam' dayaar-e-nabii me.n jiite-jii ho bulaavaa kisii din
haal-e-Gam mustafaa ko sunaa.uu.n thaam kar un ke rauze kii jaalii

- Book : Kulliyat-e-Purnam (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.