Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jise 'ishq-e-shaah-e-umam ho gayaa

Bismil Aghai

jise 'ishq-e-shaah-e-umam ho gayaa

Bismil Aghai

MORE BYBismil Aghai

    jise 'ishq-e-shaah-e-umam ho gayaa

    vo dil aur bhii mohtaram ho gayaa

    jo un kaa KHudaa kii qasam ho gayaa

    vo insaan mahfuuz-e-Gam ho gayaa

    habiib-e-KHudaa hai tabiib-e-jahaa.n

    nigaahe.n uThii dard kam ho gayaa

    nazar ke liye haasil-e-bandagii

    mohammad kaa naqsh-e-qadam ho gayaa

    mai.n jab se nabii kii panaaho.n me.n huu.n

    ta'alluq se zamaane se kam ho gayaa

    use mil ga.ii ne'amate.n do-jahaa.n

    jo 'bismil' rahiim-e-haram ho gayaa

    jise 'ishq-e-shaah-e-umam ho gayaa

    vo dil aur bhii mohtaram ho gayaa

    jo un kaa KHudaa kii qasam ho gayaa

    vo insaan mahfuuz-e-Gam ho gayaa

    habiib-e-KHudaa hai tabiib-e-jahaa.n

    nigaahe.n uThii dard kam ho gayaa

    nazar ke liye haasil-e-bandagii

    mohammad kaa naqsh-e-qadam ho gayaa

    mai.n jab se nabii kii panaaho.n me.n huu.n

    ta'alluq se zamaane se kam ho gayaa

    use mil ga.ii ne'amate.n do-jahaa.n

    jo 'bismil' rahiim-e-haram ho gayaa

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now