chalo dayaar-e-nabii kii jaanib daruud lab par sajaa-sajaa kar

Khalid Mahmood Naqshbandi
MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi
chalo dayaar-e-nabii kii jaanib daruud lab par sajaa-sajaa kar
bahaare.n luuTe.nge ham karam kii dilo.n me.n daaman banaa-banaa kar
na un ke jaisaa saKHii hai ko.ii na un ke jaisaa Ganii hai ko.ii
vo be-navaa.o.n ko har jagah se navaazte hai.n bulaa-bulaa kar
hamaarii saarii zaruurato.n par kifaalaton.n kii nazar hai un kii
vo jholiyaa.n bhar rahe hai.n sab kii karam ke motii luTaa-luTaa kar
vo raahe.n ab tak sajii hu.ii hai.n dilo.n kaa ka.aba banii hu.ii hai
jahaa.n-jahaa.n se huzuur guzre hai.n naqsh apnaa jamaa-jamaa kar
hai un ko ummat se pyaar kitnaa karam hai rahmat shi.aar kitnaa
hamaare jurmo.n ko dho rahe hai.n huzuur aa.nsuu bahaa-bahaa kar
mai.n aisaa 'aasii huu.n jis kii jholii me.n ko.ii husn-e-'amal nahii.n hai
magar vo ehsaan kar rahe hai.n KHataa.e.n merii chhupaa-chhupaa kar
yahii asaasa 'amal hai merii isii se big.Dii banii hai merii
sameTtaa huu.n karam KHudaa kaa nabii kii naa’te.n sunaa-sunaa kar
agar muqaddar ne yaavarii kii agar madiine gayaa mai.n 'KHaalid'
qadam-qadam par KHaak us galii kii chuum luu.ngaa uThaa-uThaa kar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.