diin-o-duniyaa kii tabaahii kii taraf jaate ho tum
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت بابا تاج الدین ناگوری (ناگور۔راجستھان)
diin-o-duniyaa kii tabaahii kii taraf jaate ho tum
ruuh-e-taajuddiin baabaa par sitam dhaate ho tum
phuul photo par cha.Dhaanaa sar jhukaanaa puujnaa
aur jis dil me.n hai.n baabaa us se Takraate ho tum
parcha-e-qirtaas kii nisbat kaa itnaa ehtiraam
aadmii kii nisbato.n par Gaur farmaate ho tum
auliyaa-allaah se laazim nahii.n buGz-o-inaad
kyuu.n KHudaa ke dushmanoñ me.n naam likhvaate ho tum
jis ko baabaa ke KHaliifa ne KHilaafat kii ataa
farq mustakHlif se mustakHlif me.n kyaa paate ho tum

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.