du'aa kaa asar aaj kaam aa rahaa hai
du'aa kaa asar aaj kaam aa rahaa hai
KHushii kaa mubaarak maqaam aa rahaa hai
sabaa rahguzar me.n bichhii jaa rahii hai
ko.ii rahbar-e-kHush-kHiraam aa rahaa hai
ye kis zaat-e-barhaq kii hai aamad-aamad
farishto.n kaa paiham salaam aa rahaa hai
ye kaun aaj insaan-e-kaamil zamii.n par
ba-sad 'izzat-o-ehtiraam aa rahaa hai
miTaataa hu.aa kufar kii zulmato.n ko
vo KHurshiid baalaa-e-baam aa rahaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.