jis ko baGdaad kii galiyo.n me.n machalte dekhaa
Interesting Fact
منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
jis ko baGdaad kii galiyo.n me.n machalte dekhaa
is ke sar se Gam ayyaam ko Talte dekhaa
qaadrii faiz kaa chashma bhii ubalte dekhaa
girne vaalo.n ko vahaa.n ham ne sambhalte dekhaa
Gaus ke dar pe muqaddar ko badalte dekhaa
jab kahaa kar do nigaaho.n kaa ishaara yaa Gaus
mil gayaa ham ko musiibat me.n sahaaraa yaa Gaus
jagmagaa uTThaa muqaddar kaa sitaara yaa Gaus
ghar ke maujo.n me.n jo ik baar pukaaraa yaa Gaus
ham ne tuufaan se kashtii ko nikalte dekhaa
jo bhii insaan hu.aa Gaus kii zulfo.n kaa asiir
saarii duniyaa me.n kahii.n miltii nahii.n us kii naziir
naam se un ke badal jaatii hai qismat kii lakiir
ai mire Gaus piyaa dekho amiiro.n ke amiir
un ke Tuk.Do.n pe shahanshaaho.n ko palte dekhaa
Gam nahii.n ko.ii muKHaalif jo hamaaraa hai 'fanaa'
Gaus ke naam kaa har vaqt sahaaraa hai fanaa
Gam ke dariyaa se hame.n paar utaaraa hai 'fanaa'
Gaus ko jab bhii musiibat me.n pukaaraa hai fanaa
apnii hastii ko vahii.n ham ne sambhalte dekhaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.