pyaar ke phuul cha.Dhaane ke liye aa.e hai.n
Interesting Fact
منقبت در شان گنجِ شکر بابا فریدالدین مسعود (پاک پٹن-پنجاب)
pyaar ke phuul cha.Dhaane ke liye aa.e hai.n
apne baabaa ko manaane ke liye aa.e hai.n
dil me.n me'araaj-e-'ibaadat kii tamannaa le kar
sar tire dar pe jhukaane ke liye aa.e hai.n
apne mohtaajo.n pe farmaa.o karam ga.nj-e-shakar
haal-e-Gam tum ko sunaane ke liye aa.e hai.n
sadqa-e-kHvaaja qutub haazirii ye kar lo qubuul
jaan-o-dil tum pe luTaane ke liye aa.e hai.n
ho karam ga.nj-e-shakar aaj ye diivaane tire
big.Dii taqdiir banaane ke liye aa.e hai.n
husn baabaa pe fidaa ho ke ye sab diivaane
mahfil-e-'ishq sajaane ke liye aa.e hai.n
faizyaab un se faqat tuu hii nahii.n dekh 'fanaa'
mere sarkaar zamaane ke liye aa.e hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.