baraa-e-diid aivaan-e-mohammad
baraa-e-diid aivaan-e-mohammad
chalo ban kar gadaayaan-e-mohammad
nahii.n mohtaaj un ke naam-levaa
jahaa.n dekho hai faizaan-e-mohammad
chamak uThaa muqaddar kaa sitaara
hu.aa jab se mai.n darbaan-e-mohammad
sadaa-e-Gaib aatii hai musalsal
'aziimushshaan hai shaan-e-mohammad
alii-o-faatima shabbiir-o-shabar
azal se jaan hai.n jaan-e-mohammad
abuu-bakr-o-omer 'usmaan-o-haidar
yahii hai.n jaa.n-nisaaraan-e-mohammad
‘Gyaas’ ab hashr kaa khaTkaa nahii.n hai
mire sar par hai daamaan-e-mohammad
baraa-e-diid aivaan-e-mohammad
chalo ban kar gadaayaan-e-mohammad
nahii.n mohtaaj un ke naam-levaa
jahaa.n dekho hai faizaan-e-mohammad
chamak uThaa muqaddar kaa sitaara
hu.aa jab se mai.n darbaan-e-mohammad
sadaa-e-Gaib aatii hai musalsal
'aziimushshaan hai shaan-e-mohammad
alii-o-faatima shabbiir-o-shabar
azal se jaan hai.n jaan-e-mohammad
abuu-bakr-o-omer 'usmaan-o-haidar
yahii hai.n jaa.n-nisaaraan-e-mohammad
‘Gyaas’ ab hashr kaa khaTkaa nahii.n hai
mire sar par hai daamaan-e-mohammad
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.