bahut muddat se thii hasrat nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n

Ghulam Rasool Naaib
MORE BYGhulam Rasool Naaib
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
bahut muddat se thii hasrat nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
bar aa.ii baat merii ab nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
nazr KHvaaja ke karne ko TaTolaa mai.n bahut dil me.n
nazar kuchh bhii nahii.n aayaa nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
kyaa jab Gaur phir dil me.n to ek suurat nazar aa.ii
nazr laKHt-e-jigar kar ke nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
tufail-e-hazrat-e-'usmaa.n nazr saabir kii ho manzuur
nazr manzuur ho KHvaaja nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
tumhaare 'ishq saadiq me.n na rah jaa.e nishaa.n baaqii
yahii hasrat-o-armaa.n hai nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
mai-e-ulfat ko pii kar ke hazaaro.n mast hai.n KHvaaja
hame.n bhii mast-e-ulfat kar nazr KHvaaja ke ho jaa۔uu.n
tumhaarii nazr kaa sadqa utaaraa ban ke miT ho jaa۔uu.n
mai.n miT jaa۔uu.n to ‘naa.ib’ huu.n nazr KHvaaja ho jaa.uu.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.