bhaTakte hai.n hariifaa.n-e-mohammad
bhaTakte hai.n hariifaa.n-e-mohammad
chamakte hai.n Gulaamaan-e-mohammad
azaano.n me.n jo har pal guu.njtaa hai
vo hai dar-asl e'laan-e-mohammad
'alii kaa martaba zaahir hai is se
milaa un ko shabistaan-e-mohammad
KHudaa kii raah me.n jaane.n luTaanaa
ye hai rasm-e-fidaayaan-e-mohammad
'aziiz allah bhii rakhtaa hai un ko
jo hote hai.n 'aziizaan-e-mohammad
hu.aa qurbaan husn-e-kahkashaa.n bhii
jo dekhaa nuur dandaan-e-mohammad
'adiib' aise adiibo.n ke tasadduq
jo hai.n sachche sanaa-KHvaan-e-mohammad
bhaTakte hai.n hariifaa.n-e-mohammad
chamakte hai.n Gulaamaan-e-mohammad
azaano.n me.n jo har pal guu.njtaa hai
vo hai dar-asl e'laan-e-mohammad
'alii kaa martaba zaahir hai is se
milaa un ko shabistaan-e-mohammad
KHudaa kii raah me.n jaane.n luTaanaa
ye hai rasm-e-fidaayaan-e-mohammad
'aziiz allah bhii rakhtaa hai un ko
jo hote hai.n 'aziizaan-e-mohammad
hu.aa qurbaan husn-e-kahkashaa.n bhii
jo dekhaa nuur dandaan-e-mohammad
'adiib' aise adiibo.n ke tasadduq
jo hai.n sachche sanaa-KHvaan-e-mohammad
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 301)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.