tum pe meraa dil KHudaa ai sabz-gumbad ke makii.n

tum pe qurbaa.n sab miraa ai sabz-gumbad ke makii.n
hashr me.n rusvaa.iyo.n se tum bachaa lenaa hame.n
ruu-ba-ruu ho jab KHudaa ai sabz-gumbad ke makii.n
KHvaab me.n ruu-e-mubaarak kii ziyaarat ho nasiib
lab pe har dam hai du'aa ai sabz-gumbad ke makii.n
ek qur.aa.n hai kalaam-ul-laah be-shak duusraa
hai saraapaa aap kaa ai sabz-gumbad ke makii.n
ai KHudaa ho naam teraa aur tire mahbuub kaa
jab bhii mere lab ho.n vaa.e sabz-gumbad ke makii.n
tum pe sadqe jaan bhii aulaad bhii amvaal bhii
ho karam mujh pe sadaa ai sabz-gumbad ke makii.n
aap kii jis ko shafaa'at mil ga.ii 'haadii' kaho
chaahiye phir us ko kyaa ai sabz-gumbad ke makii.n

- Book : Tajalliyaat-E-Haadi
- Author : Mohammad Abdul Hadi Qadari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.