mohammad mustafaa mahbuub-e-daavar sarvar-e-'aalam

Hafeez Jalandhari
MORE BYHafeez Jalandhari
mohammad mustafaa mahbuub-e-daavar sarvar-e-'aalam
vo jis ke dam se masjuud-e-malaa.ik ban gayaa aadam
kiyaa saajid ko shaidaa jis ne masjuud-e-haqiiqii par
jhukaayaa 'abd ko dargaah-e-maa'buud-e-haqiiqii par
dilaa.e haq-parasto.n ko huquuq-e-zindagii jis ne
kiyaa baatil ko Garq-e-mauja-e-sharmindagii jis ne
Gulaamo.n ko sariir-e-saltanat par jis ne biThlaayaa
yatiimo.n ke saro.n par kar diyaa iqbaal kaa saayaa
gadaa.o.n ko shahanshaahii ke qaabil kar diyaa jis ne
Guruur-e-nasl kaa afsuun-e-baatil kar diyaa jis ne
vo jis ne taKHt au.ndhe kar diye shaahaan-e-jaabir ke
ba.Dhaa.e martabe duniyaa me.n har insaan-e-saabir ke
dilaayaa jis ne haq insaan ko 'aalii tabaarii kaa
shikasta kar diyaa Thokar se but sarmaaya-daarii kaa
mohammad mustafaa mehr-e-sip.har-e-auj-e-'irfaanii
milii jis ke sabab taariik zarro.n ko darakHshaanii
vo jis kaa zikr hotaa hai zamiino.n aasmaano.n me.n
farishto.n kii du'aa.on me.n mu.azzin kii azaano.n me.n
vo jis ke mo.ajize ne nazm-e-hastii ko sa.nvaaraa hai
jo be-yaaro.n kaa yaaraa be-sahaaro.n kaa sahaaraa hai
vo nuur-e-lam-yazal jo baa'is-e-taKHliiq-e-'aalam hai
KHudaa ke baa'd jis kaa ism-e-aazam ism-e-aazam hai
sanaa-KHvaa.n jis kaa qur.aa.n hai sanaa me.n jis kii qur.aa.n me.n
usii par meraa iimaa.n hai vahii hai meraa iimaa.n me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.