aap kii ik nazar ho ga.ii
aap kii ik nazar ho ga.ii
zindagii mo'atabar ho ga.ii
raste hamvaar hote ga.e
raushnii ham-safar ho ga.ii
KHuld me.n jaa.egaa bil-yaqii.n
jis par un kii nazar ho ga.ii
bazm-e-miilaad-e-kHairul-varaa
aaj mere bhii ghar ho ga.ii
kah rahe hai.n ye 'aalam' sabhii
mustafaa kii nazar ho ga.ii
aap kii ik nazar ho ga.ii
zindagii mo'atabar ho ga.ii
raste hamvaar hote ga.e
raushnii ham-safar ho ga.ii
KHuld me.n jaa.egaa bil-yaqii.n
jis par un kii nazar ho ga.ii
bazm-e-miilaad-e-kHairul-varaa
aaj mere bhii ghar ho ga.ii
kah rahe hai.n ye 'aalam' sabhii
mustafaa kii nazar ho ga.ii
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 423)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.