likhegaa ko.ii kyaa shaan-e-mohammad
likhegaa ko.ii kyaa shaan-e-mohammad
KHudaa KHud hai sanaa-KHvaan-e-mohammad
KHudaa.e paak haatho.n se hamaare
kabhii chhuuTe na daamaan-e-mohammad
gulistaa.n hai.n jahaa.n me.n aur lekin
niraalaa hai gulistaan-e-mohammad
ye kyaa kam hai ki kahte hai.n tujhe sab
Gulaamy az Gulaamaan-e-mohammad
ba.Dhe sidrah se jab jibriil bole
'aziimushshaan hai shaan-e-mohammad
chalo darbaar-e-rabbaanii me.n 'aalam'
baTegaa aaj faizaan-e-mohammad
likhegaa ko.ii kyaa shaan-e-mohammad
KHudaa KHud hai sanaa-KHvaan-e-mohammad
KHudaa.e paak haatho.n se hamaare
kabhii chhuuTe na daamaan-e-mohammad
gulistaa.n hai.n jahaa.n me.n aur lekin
niraalaa hai gulistaan-e-mohammad
ye kyaa kam hai ki kahte hai.n tujhe sab
Gulaamy az Gulaamaan-e-mohammad
ba.Dhe sidrah se jab jibriil bole
'aziimushshaan hai shaan-e-mohammad
chalo darbaar-e-rabbaanii me.n 'aalam'
baTegaa aaj faizaan-e-mohammad
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 424)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.