dam-ba-dam lab pe naam KHvaaja kaa
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
dam-ba-dam lab pe naam KHvaaja kaa
jaarii hai sub.h-o-shaam KHvaaja kaa
jaan-o-dil jism aur jigar meraa
hai ye qurbaan-e-mudaam KHvaaja kaa
apnii hastii ko samjhaa vo naabuud
samjhaa jo ki kalaam KHvaaja kaa
taabe'-e-farmaan hai.n musalmaan sab
aur barahman hai raam KHvaaja kaa
mujh ko hai naaz bas isii suurat
mai.n huu.n 'haidar' Gulaam KHvaaja kaa
dam-ba-dam lab pe naam KHvaaja kaa
jaarii hai sub.h-o-shaam KHvaaja kaa
jaan-o-dil jism aur jigar meraa
hai ye qurbaan-e-mudaam KHvaaja kaa
apnii hastii ko samjhaa vo naabuud
samjhaa jo ki kalaam KHvaaja kaa
taabe'-e-farmaan hai.n musalmaan sab
aur barahman hai raam KHvaaja kaa
mujh ko hai naaz bas isii suurat
mai.n huu.n 'haidar' Gulaam KHvaaja kaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.