Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ziinat-e-shaan-e-vilaayat sadr-e-bazm-e-auliyaa

Hairat Shah Warsi

ziinat-e-shaan-e-vilaayat sadr-e-bazm-e-auliyaa

Hairat Shah Warsi

MORE BYHairat Shah Warsi

    Interesting Fact

    منقبت درشان گنجِ شکر بابا فریدالدین مسعود (پاک پٹن-پنجاب)

    ziinat-e-shaan-e-vilaayat sadr-e-bazm-e-auliyaa

    hazrat-e-baabaa fariiduddiin faKHr-e-atqiyaa

    murshid-e-faqr-o-fanaa-o-rahbar-e-raah-e-vafaa

    ai ki terii zaat hai fard-e-fariid-ul-asfiyaa

    ik taraf faaruuq-e-aa'zam ik taraf maulaa-'alii

    aap ko dono.n taraf se mohtaram rutba milaa

    bhuule bhaTke aa pa.De hai.n aap ke dar par huzuur

    apne mohtaajo.n kii jaanib bhii uThe dast-e-'ataa

    be-kaso.n ke vaalii-o-vaaris-e-nizaamuddiin hai.n

    un kii mahbuubii kaa sadqa un kii 'hairat' ho 'ataa

    Source :
    • Book : Naqsh-e-Hairat (Pg. 41)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now