Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ham apne piir-e-rabbaanii ke sadqe

Ghausi Shah

ham apne piir-e-rabbaanii ke sadqe

Ghausi Shah

MORE BYGhausi Shah

    ham apne piir-e-rabbaanii ke sadqe

    zuhuur-e-nuur-e-yazdaanii ke sadqe

    jamaal-e-haq kaa aa.iina hai vallaah

    zuhuur-e-shaan-e-rabbaanii ke sadqe

    mohammad ke hai.n jalve is me.n zaahir

    ham is tasviir-e-laa-saanii ke sadqe

    muhii.uddiin mu.iinuddiin hai ye

    ham is tasviir-e-nuuraanii ke sadqe

    bataataa hai KHudaa ko aur nabii ko

    zuhuur-e-shaan-e-yazdaanii ke sadqe

    sharaf rakhtaa hai shaaho.n par jahaa.n ke

    Gulaam-e-shaah-e-jiilaanii ke sadqe

    dikhaayaa jalva-e-haq KHud me.n 'Gausii'

    ham apne piir-e-laa-saanii ke sadqe

    ham apne piir-e-rabbaanii ke sadqe

    zuhuur-e-nuur-e-yazdaanii ke sadqe

    jamaal-e-haq kaa aa.iina hai vallaah

    zuhuur-e-shaan-e-rabbaanii ke sadqe

    mohammad ke hai.n jalve is me.n zaahir

    ham is tasviir-e-laa-saanii ke sadqe

    muhii.uddiin mu.iinuddiin hai ye

    ham is tasviir-e-nuuraanii ke sadqe

    bataataa hai KHudaa ko aur nabii ko

    zuhuur-e-shaan-e-yazdaanii ke sadqe

    sharaf rakhtaa hai shaaho.n par jahaa.n ke

    Gulaam-e-shaah-e-jiilaanii ke sadqe

    dikhaayaa jalva-e-haq KHud me.n 'Gausii'

    ham apne piir-e-laa-saanii ke sadqe

    Source :
    • Book : Taiyabat-e-Ghosui
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now