Sufinama

haq-adaa-o-haq-numaa baGdaad kii sarkaar hai

Pir Naseeruddin Naseer

MORE BYPir Naseeruddin Naseer

    Interesting Fact

    منقبت درشان غوث اعظم شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد۔عراق)

    haq-adaa-o-haq-numaa baGdaad kii sarkaar hai

    kyaa tujhe batlaa.uu.n kyaa baGdaad kii sarkaar hai

    marja'-e-ahl-e-safaa baGdaad kii sarkaar hai

    sarbaraah-e-auliaa baGdaad kii sarkaar hai

    ittibaa'-e-usva-e-kHair-ul-varaa me.n 'umr-bhar

    paikar-e-kHauf-e-kHudaa baGdaad kii sarkaar hai

    jis kii haq-go.ii se ahl-e-shirk-o-bid'at kaa.np uTThe

    tarjumaa.n tauhiid kaa baGdaad kii sarkaar hai

    merii terii hamd me.n hirs-o-Garaz bhii hai shariik

    laa.iq-e-hamd-e-kHudaa baGdaad kii sarkaar hai

    qaazii-ul-haajaat ke dar par rahaa jo sajda-rez

    'ijz kii vo intihaa baGdaad kii sarkaar hai

    shab kii taariikii me.n tanhaa dast-basta ashk-baar

    haazir baab-e-'ataa baGdaad kii sarkaar hai

    din ko masruuf-e-ibaadat shaam ko sargarm-e-zikr

    shab ko mahv-e-iltijaa baGdaad kii sarkaar hai

    auliyaa ke saath itlaaq-e-vilaayat me.n shariik

    shaan me.n sab se judaa baGdaad kii sarkaar hai

    'ilm-o-hikmat me.n ’alii-maulaa kaa sajjaada-nashii.n

    raaz-daar-e-har-'ataa.ii baGdaad kii sarkaar hai

    kyaa nubuvvat ke jahaano.n me.n hai zaat-e-mustafaa.ii

    faqr kii duniyaa me.n kyaa baGdaad kii sarkaar hai

    jahl kii banjar zamii.n ko jis ne jal-thal kar diyaa

    'ilm kii aisii ghaTaa baGdaad kii sarkaar hai

    qudtare.n paa.uu.n magar qudrat pe itraayaa nahii.n

    sharh-e-tasliim-o-razaa baGdaad kii sarkaar hai

    mamba-e-hubb-e-'alii sarchama-e-mehr-e-'alii

    vaaris-e-aal-e-'ibaa baGdaad kii sarkaar hai

    ambiyaa ko naaz jis par auliyaa ko jis pe fakHr

    saahab-e-bakHt-e-rasaa baGdaad kii sarkaar hai

    jis ke haatho.n par hu.ii.n zaahir karaamaat-e-kasiir

    hairato.n kii intihaa baGdaad kii sarkaar hai

    'aql-e-zaahir jis kii chaukhaT par raga.Dtii hai jabii.n

    aisii qudrat-aazmaa baGdaad kii sarkaar hai

    'abd-e-qaadir hai magar qaadir ne vo baKHshaa maqaam

    markaz-e-rushd-o-hudaa baGdaad kii sarkaar hai

    uu.nche-uu.ncho.n ne sar aa.nkho.n par liyaa jis kaa qadam

    vo anokhaa peshvaa baGdaad kii sarkaar hai

    kyaa bigaa.Degii tiraa sar maar le duniyaa 'nasiir'

    pusht par terii sadaa baGdaad kii sarkaar hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 352)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now