haqiiqii alii kaa nazaara alii hai.n
haqiiqii alii kaa nazaara alii hai.n
rasuul-e-KHudaa kaa saraapaa alii hai.n
mohammad kii aa.nkho.n kaa taaraa alii hai.n
KHudaa kii nigaaho.n me.n a.alaa alii hai.n
vo dosh-e-mohammad ne rutba ba.Dhaayaa
ki ye arsh-e-a.azam se a.alaa alii hai.n
KHudaa bhii hai maulaa alii bhii hai maulaa
magar jis ke haq me.n ye maulaa alii hai.n
rahii.n un kii sargoshiyaa.n KHaas haq se
vo ham-raaz-e-haq nuur-e-haq kaa alii hai.n
valii aaj bantaa hai un kii nazar se
vo nuur-e-mohammad kaa jalva alii hai.n
Gulaamaan-e-ahmad ke mushkil-kushaa hai.n
musiibat-zado.n kaa sahaaraa alii hai.n
KHudaa aur mohammad alii me.n hai.n 'Gausii'
mere haq me.n kyaa jaane kyaa kyaa alii hai.n

- Book : Taiyabat-e-Ghosui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.