ilaahii rahm ab kyaa der hai tanziil-e-rahmat me.n

madad farmaa madad kaa vaqt hai ham hai.n musiibat me.n
gunahgaar aa.nkh me.n bhar laa.e hai.n aa.nsuu nadaamat ke
na ab aayaa to kab josh aa.egaa dariyaa-e-rahmat me.n
karam teraa na hogaa ai KHudaa gar merii kashtii par
to yaarab Garq ho jaa.egii dariyaa-e-halaakat me.n
tujh hii par naaz he mujh ko tuu hii meraa mu.aavin hai
terii rahmat hii kaam aatii hai merii har musiibat me.n
KHudaavandaa tere bande tere bando.n se aajiz hai.n
madad kar aajizo.n kii ham bhii hai.n terii hukuumat me.n
sivaa tere kahaa.n jaa.e.n kidhar jaa.e.n kise Dhuu.nDe.n
madad karne kii taaqat bhii hai tere dast-e-qudrat me.n
sivaa.e tere 'qaisar-vaarsii' kaa kaun hai yaarab
bachaa le sharr-e-aadaa se tuu rakh apnii hifaazat me.n

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 183)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.