is karam kaa karuu.n shukr kaise adaa jo karam mujh pe mere nabii kar diyaa

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
is karam kaa karuu.n shukr kaise adaa jo karam mujh pe mere nabii kar diyaa
mai.n sajaataa thaa sarkaar kii mahfile.n mujh ko har Gam se rab ne barii kar diyaa
zikr-e-sarkaar kii hai.n ba.Dii barkate.n mil ga.ii.n raahate.n azmate.n rif.ate.n
mai.n gunahgaar thaa be-amal thaa magar mustafaa ne mujhe jannatii kar diyaa
lamha-lamha hai mujh par nabii kii 'ataa dosto aur maa.nguu.n mai.n maulaa se kyaa
kyaa ye kam hai ki mere KHudaa ne mujhe apne mahbuub kaa ummatii kar diyaa
jo dar-e-mustafaa ke gadaa ho ga.e dekhte dekhte kyaa se kyaa ho ga.e
aisii chashm-e-karam kii hai sarkaar ne dono.n 'aalam me.n un ko Ganii kar diyaa
jo bhii aayaa hai mahfil me.n sarkaar kii haazirii mil ga.ii jis ko darbaar kii
ko.ii siddiiq-o-faaruuq-o-’usmaa.n hu.aa aur kisii ko nabii ne 'alii kar diyaa
ko.ii maayuus lauTaa na darbaar se jo bhii maa.ngaa milaa merii sarkaar se
sadqe jaa۔uu.n 'niyaazii' mai.n laj-paal ke har gadaa ko saKHii ne saKHii kar dayaa

- Book : Kulliyat-e-Niyazi (Shams-ul-Zuha) (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.