is shaan-e-karam kaa kyaa kahnaa dar pe jo savaalii aate hai.n

Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
is shaan-e-karam kaa kyaa kahnaa dar pe jo savaalii aate hai.n
ik tirii kariimii kaa sadqa vo man kii muraade.n paate hai.n
KHaalii na rahii rahmat se tirii dukh-dard ke maaro.n kii jholii
kyaa teraa karam hai dar pe terii bhar dii hai hazaaro.n kii jholii
din-raat hai ma.ngto.n kaa pheraa kyaa KHuub sakhii hai dar teraa
miltii hai karam kii bhiik unhe.n daaman jo yahaa.n phailaate hai.n
is dar kii saKHaavat kyaa kahiye KHaalii na gayaa ma.ngtaa ko.ii
mohtaaj yahaa.n jo aate hai.n vo jholiyaa.n bhar ke jaate hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.