aastaana huzuur kaa dekho
aastaana huzuur kaa dekho
jalva-KHaana huzuur kaa dekho
'ilm-o-hikmat ke bante hai.n purze
kaarKHaana huzuur kaa dekho
nuur phailaa siyaah-KHaano.n me.n
muskuraanaa huzuur kaa dekho
apne daaman kii samt mat dekho
KHusravaana huzuur kaa dekho
farsh se 'arsh tak ga.e aa.e
aanaa jaanaa huzuur kaa dekho
panjtan paak kii nishaanii hai
ye gharaanaa huzuur kaa dekho
rahmat-e-haq 'ziyaa' hai saaya-figan
shaamiyaana huzuur kaa dekho
aastaana huzuur kaa dekho
jalva-KHaana huzuur kaa dekho
'ilm-o-hikmat ke bante hai.n purze
kaarKHaana huzuur kaa dekho
nuur phailaa siyaah-KHaano.n me.n
muskuraanaa huzuur kaa dekho
apne daaman kii samt mat dekho
KHusravaana huzuur kaa dekho
farsh se 'arsh tak ga.e aa.e
aanaa jaanaa huzuur kaa dekho
panjtan paak kii nishaanii hai
ye gharaanaa huzuur kaa dekho
rahmat-e-haq 'ziyaa' hai saaya-figan
shaamiyaana huzuur kaa dekho
- Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.