Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jalva-e-maa'buud hai sardaar beg

Imdad Ali Ulvi

jalva-e-maa'buud hai sardaar beg

Imdad Ali Ulvi

MORE BYImdad Ali Ulvi

    jalva-e-maa'buud hai sardaar beg

    haasil-e-masjuud hai sardaar beg

    lohe ko kar detaa hai maanind-e-mom

    vaqt kaa daa.uud hai sardaar beg

    shiblii-o-attaar ko sunte the ham

    dekhaa to maqsuud hai sardaar beg

    be-had-o-be-qaid hai go zaahiran

    jism se mahduud hai sardaar beg

    chashm-e-tasavvur dilaa har jagah

    dekh le maujuud hai sardaar bag

    chaahe ko.ii dekh le ban kar ayaaz

    kaisaa ye mahmuud hai sardaar beg

    'ulvii' samajh le ba-maqaam-e-shuhuud

    shaahid-o-mash.huud hai sardaar beg

    jalva-e-maa'buud hai sardaar beg

    haasil-e-masjuud hai sardaar beg

    lohe ko kar detaa hai maanind-e-mom

    vaqt kaa daa.uud hai sardaar beg

    shiblii-o-attaar ko sunte the ham

    dekhaa to maqsuud hai sardaar beg

    be-had-o-be-qaid hai go zaahiran

    jism se mahduud hai sardaar beg

    chashm-e-tasavvur dilaa har jagah

    dekh le maujuud hai sardaar bag

    chaahe ko.ii dekh le ban kar ayaaz

    kaisaa ye mahmuud hai sardaar beg

    'ulvii' samajh le ba-maqaam-e-shuhuud

    shaahid-o-mash.huud hai sardaar beg

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mahboob Khan Qawwal

    Mahboob Khan Qawwal

    Source :
    • Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 57)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now