varaa-e bayaa.n hai kamaal-e-mohammad
varaa-e bayaa.n hai kamaal-e-mohammad
bahut pur-kashish hai jamaal-e-mohammad
karuu.n zehn-o-dil se mai.n iz.haar phir bhii
nahii.n hogii sharh-e-jalaal-e-mohammad
mirii zindagii bandagii ho ilaahii
rahe dil me.n har-pal KHisaal-e-mohammad
zabaa.n bhii hai qaasir qalam bhii hai aajiz
karuu.ngaa bayaa.n kyaa mai.n haal-e-mohammad
mujhe ye sa.aadat 'kaliim' ab to mil jaa.e
rahuu.n mai.n sanaa-KHvaan aal-e-mohammad

- Book : Nazran-e-Resalat (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.