jamaal-e-sub.h-e-azal vaj.h-e-kun-fakaa.n tum ho

hariim-e-saahib-e-fitrat ke raaz-daa.n tum ho
tumhaarii zaat pe naazaa.n hai kaa.inaat-e-vajuud
faroG-e-’azmat-e-insaa.n ke tarjumaa.n tum ho
tumhaare dar kii lagan zindagii kaa haasil hai
hamaarii manzil-e-maqsuud kaa nishaa.n tum ho
qadam-qadam pe hai.n gumraahiyo.n ke daam magar
nahii.n hai fikr ki saalaar-e-kaarvaa.n tum ho
ba-qadr-e-zarf har ik faizyaab hotaa hai
misaal-e-abr zamaane pe mehrbaa.n tum ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.