terii nazar se dil ko sukuu.n hai qaraar hai
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
terii nazar se dil ko sukuu.n hai qaraar hai
tere karam se mere chaman me.n bahaar hai
ham aa ga.e kahaa.n pe ye kis kaa dayaar hai
pahluu se dil pukaaraa yahii kuu-e-yaar hai
vaa'de pe jii rahe the magar dam nikal gayaa
aa.nkhe.n khulii hu.ii hai.n teraa intizaar hai
zaahid merii namaaz bhalaa kyuu.n na ho qubuul
har lamha mere saamne tasviir-e-yaar hai
mahshar me.n sab ke paas to hai naama-e-amal
ye dekho mere haath me.n daamaan-e-yaar hai
mujh se zamaana gar ho muKHaalif to Gam nahii.n
mai.n mutma.in huu.n merii taraf chashm-e-yaar hai
'kaamil' ke dil se pochhiye sajdo.n kii lazzate.n
vo hai sar-e-niyaaz hai aur paa-e-yaar hai

- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.