ye baargaah-e-kHvaaja-e-banda-navaaz hai
Interesting Fact
منقبت بندہ نواز گیسو دراز خواجہ محمد حسینی (گلبرگہ-کرناٹک)
ye baargaah-e-kHvaaja-e-banda-navaaz hai
is dar pe jis kaa sar hai vahii sarfaraaz hai
dekhe ko.ii agar nigah-e-imtiyaaz hai
kis shaan kaa ye sayyad-e-gesuu-daraaz hai
har dil pe kuchh na kuchh kar chashm-e-naaz hai
un kaa har ek tiir-e-nazar dil-navaaz hai
parvaaz 'aql kaa hai tasavvur vahaa.n Galat
jis 'aalam-e-buland kaa vo shaah-baaz hai
dekho vo mahv-e-KHvaab hai phuulo.n kii sej par
nisbat pe jis kii aaj hazaaro.n ko naaz hai
un kii 'inaayato.n se hame.n kyaa nahii.n milaa
paiham ik iztiraab hai soz-o-gudaaz hai
jab tak hai raaz raaz haqiiqat kii hai daliil
aa.iina ban gayaa to samajh lo majaaz hai
tauhiin-e-e'timaad hai fikr-e-ma.aal-e-kaar
be-fikr baiTh jaa.o KHudaa kaarsaaz hai
kyaa kiijiyegaa kar ke haqiiqat ko be-naqaab
har e'tibaar-e-jalva ba-shakl-e-majaaz hai
vo kyuu.n niyaaz-mand ho naaz-e-tabiib kaa
'kaamil' jise nasiiba Gam-e-chaara-saaz hai

- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 195)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.