karam-e-piir-e-muGaa.n 'aam hai mai-KHaane me.n

do-jahaa.n ek chhalakte hu.e paimaane me.n
kal jo mai.n kahtaa thaa saaqii tire mai-KHaane me.n
ik vahii lafz hai mansuur ke afsaane me.n
hosh me.n bhii nahii.n aur hosh se baahar bhii nahii.n
kaun sii baat hai aaKHir tire diivaane me.n
hastii-e-dahr hai mauquuf mirii hastii par
sau qiyaamat hai.n nihaa.n ik mire miT jaane me.n
zauq-e-takmiil hai Gaalib Gam-e-barbaadii par
ek lutf aataa hai ban ban ke biga.D jaane me.n
nahii.n asnaam to kyaa rah gayaa kaa'be me.n 'zahiin'
ham to kaa'be ko uThaa laa.e sanam-KHaane me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.