Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bint-e-kHai-ul-varaa sayyada faatima

Khalid Nadeem Badayuni

bint-e-kHai-ul-varaa sayyada faatima

Khalid Nadeem Badayuni

MORE BYKhalid Nadeem Badayuni

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت فاطمہ زہرا (مدینہ-سعودی عرب)

    bint-e-kHai-ul-varaa sayyada faatima

    zauja-e-murtazaa sayyada faatima

    mahram-e-murtazaa sayyada faatima

    tum ho fakHr-e-hayaa sayyada faatima

    aap kii zindagaanii ke mafhuum hai.n

    mehr-o-ulfat vafaa sayyada faatima

    rahmato.n kaa sabab ban gayaa tazkira

    tere ghar-baar kaa sayyada faatima

    hashr me.n saa.ebaa.n ban ke chhaa jaa.egii

    tere sar kii ridaa sayyada faatima

    auliyaa asfiyaa atqiyaa taajvar

    tere mid.hat-saraa sayyada faatima

    roz mahshar talak mujh ko miltaa rahe

    sadqa hasnain kaa sayyada faatima

    ham bhii mushtaaq hai.n shah ke diidaar ke

    le chalo karbalaa sayyada faatima

    pyaare hasnain hai.n jin kii KHaatir hu.ii

    KHuld aaraasta sayyada faatima

    ham Gariibo.n haqiiro.n kii aavaaz hai.n

    kah uThe be-navaa sayyada faatima

    kaam aa.ii hai KHaalid ke har mo.D par

    terii fahm-o-zakaa sayyada faatima

    bint-e-kHai-ul-varaa sayyada faatima

    zauja-e-murtazaa sayyada faatima

    mahram-e-murtazaa sayyada faatima

    tum ho fakHr-e-hayaa sayyada faatima

    aap kii zindagaanii ke mafhuum hai.n

    mehr-o-ulfat vafaa sayyada faatima

    rahmato.n kaa sabab ban gayaa tazkira

    tere ghar-baar kaa sayyada faatima

    hashr me.n saa.ebaa.n ban ke chhaa jaa.egii

    tere sar kii ridaa sayyada faatima

    auliyaa asfiyaa atqiyaa taajvar

    tere mid.hat-saraa sayyada faatima

    roz mahshar talak mujh ko miltaa rahe

    sadqa hasnain kaa sayyada faatima

    ham bhii mushtaaq hai.n shah ke diidaar ke

    le chalo karbalaa sayyada faatima

    pyaare hasnain hai.n jin kii KHaatir hu.ii

    KHuld aaraasta sayyada faatima

    ham Gariibo.n haqiiro.n kii aavaaz hai.n

    kah uThe be-navaa sayyada faatima

    kaam aa.ii hai KHaalid ke har mo.D par

    terii fahm-o-zakaa sayyada faatima

    Source :
    • Book : Anwar-e-Karbala (Pg. 46)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now