gar jalva-numaa sayyad-e-abraar na hotaa

vallaah KHudaa.ii kaa bhii iz.haar na hotaa
khultaa na agar mai-kada-e-husn-e-mohammad
ko.ii mai-e-tauhiid se sarshaar na hotaa
hotii na agar us me.n 'ayaa.n shakl-e-mohammad
zinhaar ye dil mahram-e-asraar na hotaa
khultii na haqiiqat kii kabhii raah kisii par
'ishq us kaa agar qaafila-saalaar na hotaa
uThtaa na 'KHaliil' aisii tarh baar mohabbat
haamii jo tiraa haidar-e-karraar na hotaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.