'alii kaa naam har ahl-e-vafaa kii shaan-o-shaukat hai

Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
Interesting Fact
منقبت در شان امیرالمؤمنین حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)
'alii kaa naam har ahl-e-vafaa kii shaan-o-shaukat hai
'alii murtazaa faKHr-e-umam raah-e-hidaayat hai
'alii ke kaarnaame aaj bhii zarb-ul-masal Thahre
'alii ke faislo.n kii aaj bhii duniyaa me.n shohrat hai
nabii ne kah diyaa man ku.ntu-maulaa-hu 'alii maulaa
zamaana kah uThaa haa.n haa.n 'alii maulaa-e-ummat hai
'alii aur faatima hasnain aur hasnain ke naanaa
jinhe.n un se 'aqiidat hai mujhe un se 'aqiidat hai
'alii kii mahfilo.n me.n dekhiye ahl-e-shujaa'at ko
'alii se duur rahnaa buz-dilo.n kii KHaas 'aadat hai
'alii par naqd karnaa kufr kii pahchaan hai naaqid
'alii kaa tazkira ahl-e-hidaayat kii 'alaamat hai
jo un ke dar pe pahu.nchaa ho gayaa un kaa Gulaam aakHir
jo un se phir gayaa us ke liye 'shaayaan' zillat hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.