ko.ii to hai jo nizaam-e-hastii chalaa rahaa hai vahii KHudaa hai

Muzaffar Warsi
MORE BYMuzaffar Warsi
ko.ii to hai jo nizaam-e-hastii chalaa rahaa hai vahii KHudaa hai
dikhaa.ii bhii jo na de nazar bhii jo aa rahaa hai vahii KHudaa hai
talaash us ko na kar buto.n me.n vo hai badaltii hu.ii ruto.n me.n
jo din ko raat aur raat ko din banaa rahaa hai vahii KHudaa hai
vahii hai mashriq vahii hai maGrib safar kare.n sab usii kii jaanib
har aa.iine me.n jo 'aks apnaa dikhaa rahaa hai vahii KHudaa hai
kisii ko socho.n ne kab saraahaa vahii hu.aa jo KHudaa ne chaahaa
jo iKHtiyaar-e-bashar pe pahre biThaa rahaa hai vahii KHudaa hai
nazar bhii rakkhe samaa.ate.n bhii vo jaan letaa hai niyate.n bhii
jo kHaana-e-laa-su'uur me.n jagmagaa rahaa hai vahii KHudaa hai
kisii ko taaj-e-vaqaar baKHshe kisii ko zillat ke Gaar baKHshe
jo sab ke maathe pe mohr-e-qudrat lagaa rahaa hai vahii KHudaa hai
safed us kaa siyaah us kaa nafas-nafas hai gavaah us kaa
jo sho.ala-e-jaa.n jalaa rahaa hai bujhaa rahaa hai vahii KHudaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.