lillaah karam kiijiye sarkaar-e-madiina
mujh ko bhii dikhaa diijiye darbaar-e-madiina
darbaaro.n me.n darbaar hai darbaar-e-madiina
sab se ba.Dii sarkaar hai sarkaar-e-madiina
har jaa pe nazar aatii hai.n anvaar-e-madiina
allaah rii ai sham-e’-ziyaa-baar-e-madiina
kuchh apne Gulaamo.n kii KHabar hai ki nahii.n hai
yaa-muttalabii sayyad-e-abraar-e-madiina
'bahzaad' mujhe KHauf nahii.n roz-e-jazaa kaa
aaqaa hai.n mire ahmad-e-muKHtaar-e-madiina

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.