maddaah huu.n janaab-e-risaalat panaah kaa

'arsh-e-barii.n pe gosha hai merii kulaah kaa
mahfil me.n merii naGma-saraa.ii se shor hai
har samt aah aah kaa aur vaah vaah kaa
zebaa hai fakHr-o-naaz mujhe jis qadar karuu.n
dekhuu.n to mad.h-KHvaa.n huu.n mai.n kis baadshaah kaa
dariyaa-e-faiz-o-juud hai vo jiske saamne
tinke se kam hai koh bhii gar ho gunaah kaa
us jaayaa 'uzr-KHvaahii hamaarii karegaa vo
jis jaa pe zahraa-aab ho har 'uzr-KHvaah kaa
paiGambaro.n ko fakHr hu.aa us kii zaat se
sardaar hii se ba.Dhtaa hai rutba sipaah kaa
sarsabz kyaa ho.n us ruKH-e-zebaa ke ruu-ba-ruu
mu.nh kyaa hai sham'-e-bazm kaa yaa mehr-o-maah kaa
shabnam kii kyaa majaal jo gul-gasht kar sake
jis gulistaa.n me.n paa.nv na Thahre nigaah kaa
aashiq ke dil se aah nikaltii hai isliye
us ke sivaa maqaam nahii.n dil me.n aah kaa
kaalak to mere mu.nh kii chhaTe ab kisii tarah
hove guzar madiine me.n mujh ruu-siyaah kaa
dar-pesh hai 'adam kaa safar sab ko dosto
jo naa't kaa kalaam hai tosha hai raah kaa
paiGambaro.n kaa shaahid-e-'aadil hai vo 'shahiid'
kyaa martaba hai naam-e-KHudaa us gavaah kaa

- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.