Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rasuul-e-mujtabaa kahiye mohammad mustafaa kahiye

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    rasuul-e-mujtabaa kahiye mohammad mustafaa kahiye

    KHudaa ke baa'd bas vo hai.n phir us ke baa'd kyaa kahiye

    sharii'at kaa hai ye israar KHatm-ul-ambiyaa kahiye

    mohabbat kaa taqaazaa hai ki mahbuub-e-KHudaa kahiye

    jab un kaa zikr ho duniyaa saraapaa gosh ho jaa.e

    jab un kaa naam aa.e marhabaa sall-e-'alaa kahiye

    mire sarkaar ke naqsh-e-qadam sham'-e-hidaayat hai.n

    ye vo manzil hai jis ko maGfirat kaa raasta kahiye

    mohammad kii nubuvvat daa.ira hai nuur-e-vahdat kaa

    usii ko ibtidaa kahiye usii ko intihaa kahiye

    Gubaar-e-raah-e-taiba surma-e-chashm-e-basiirat hai

    yahii vo KHaak hai jis KHaak ko KHaak-e-shifaa kahiye

    madiina yaad aataa hai to phir aa.nsuu nahii.n rukte

    mirii aa.nkho.n ko 'maahir' chashma-e-aab-e-baqaa kahiye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now