Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tasavvur me.n tire jaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

Makhdoom Khadim Safi

MORE BYMakhdoom Khadim Safi

    tasavvur me.n tire jaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    mohammad kar ke ye jaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    ye kalma haq hai.n ham kahte hamii.n samjhe hamii.n buujhe

    bas apnii shaan ko jaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    sifat aadam kii kyaa kiijai zabaa.n qaasir hu.ii jis se

    malaa.ek ne hame.n maanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    nasiihat mujh ko mat karnaa kahe detaa huu.n ai vaa.iz

    kisii naadaa.n ko samjhaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    huval-avval huval-aaKHir huvazzaahir huval-baatin

    KHudaa kaa hai ye farmaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    tajallii dekh ke 'KHaadim' lagaa kahne ki sallallaah

    ye murshid se hai pahchaanaa ahaa haa-haa ahaa haa-haa

    Source :
    • Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 13)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now