kyuu.n na huu.n dil se darbaan-e-mohammad
kyuu.n na huu.n dil se darbaan-e-mohammad
'alii hai baab-e-'irfaan-e-mohammad
hame.n to kar diyaa 'aalam se aazaad
nahii.n qaidii Gulaamaan-e-mohammad
jhukaayaa ham ne sar qadmo.n pe un ke
hame.n to bhaa ga.ii aan-e-mohammad
garebaa.n us kii ulfat ne kiyaa chaak
mai.n kyuu.n kar chho.Duu.n daamaan-e-mohammad
karam murshid kaa KHaadim kyaa bataave
dikhaayaa ruu-e-taabaan-e-mohammad
kyuu.n na huu.n dil se darbaan-e-mohammad
'alii hai baab-e-'irfaan-e-mohammad
hame.n to kar diyaa 'aalam se aazaad
nahii.n qaidii Gulaamaan-e-mohammad
jhukaayaa ham ne sar qadmo.n pe un ke
hame.n to bhaa ga.ii aan-e-mohammad
garebaa.n us kii ulfat ne kiyaa chaak
mai.n kyuu.n kar chho.Duu.n daamaan-e-mohammad
karam murshid kaa KHaadim kyaa bataave
dikhaayaa ruu-e-taabaan-e-mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.