ma.ngte KHaalii haath na lauTe kitnii milii KHairaat na puuchho

Khalid Mahmood Naqshbandi
MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi
ma.ngte KHaalii haath na lauTe kitnii milii KHairaat na puuchho
un kaa karam phir un kaa karam hai un ke karam kii baat na puuchho
kunto-kanzan raaz-e-mashiyyat jalva-e-asraa nuur-e-hidaayat
jagmag jagmag dono.n 'aalam kaisii hai vo zaat na puuchho
'ishq-e-nabii kaunain kii daulat 'ishq-e-nabii baKHshish kii zamaanat
us se ba.Dh kar dast-e-talab me.n hai bhii ko.ii sauGaat na puuchho
rashk-e-jinaa.n taiba kii galiyaa.n har zarra firdaus badaamaa.n
chaaro.n taraf anvaar kaa 'aalam rahmat kii barsaat na puuchho
zaahir me.n taskiin-e-dil-o-jaa.n baatin me.n me’raaj-e-dil-o-jaa.n
naam-e-nabii phir naam-e-nabii hai naam-e-nabii kii baat na puuchho
haal agar kuchh apnaa sunaayaa un ke karam kaa shikva hogaa
mai.n apne haalaat me.n KHush huu.n mujh se mire haalaat na puuchho
taaj-e-shafaa'at sar par pahne hashr kaa duulhaa aa pahu.nchaa hai
aa.nkhe.n kholo Gaur se dekho kis kii hai baaraat na puuchho
mai.n kyaa aur kyaa merii haqiiqat sab kuchh hai sarkaar kii nisbat
mai.n to buraa huu.n lekin merii laaj hai kis ke haath na puuchho
'KHaalid' mai.n sirf itnaa kahuu.ngaa jaag uThaa ashko.n kaa muqaddar
'ishq-e-nabii me.n rote-rote kaise kaTii hai raat na puuchho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.