rahegaa hashr tak qaa.em jahaa.n me.n naam vaaris kaa
Interesting Fact
منقبت درشان حاجی وارث علی شاہ (دیوہ۔اترا پردیش)
rahegaa hashr tak qaa.em jahaa.n me.n naam vaaris kaa
har ik momin ko pahu.nchegaa sadaa paiGaam vaaris kaa
har ik ke dil me.n paidaa ho mohabbat rabb-e-a.alam
yahii hai daras vaaris kaa yahii paiGaam vaaris kaa
Gulaam-e-mustafaa huu.n aur gadaa-e-panjtan huu.n mai.n
hai ye in.aam vaaris kaa hai ye ikraam vaaris kaa
mai-e-ishq-e-KHudaa baTtii hai mai-KHaana me.n vaaris ke
ataa ho mujh ko bhii saaqii zaraa ik jaam vaaris kaa
nahii.n 'shaariq' ko.ii bhii KHauf ko.ii Gam mujhe roz-e-qiyaamat kaa
ki ab mai.n ho gayaa huu.n banda-e-be-daam vaaris kaa

- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.