samandar kii muKHaalif mauj ko patvaar karte hai.n

Dr. Mansoor Faridi
MORE BYDr. Mansoor Faridi
samandar kii muKHaalif mauj ko patvaar karte hai.n
valiiullaah tuufaano.n se be.Daa paar karte hai.n
yahii.n se apnii chashm-e-shauq pur-anvaar karte hai.n
yahii.n se gumbad-e-KHazraa kaa ham diidaar karte hai.n
bulaate hai.n KHudaa ke nek bande apnii chaukhaT par
madiine jaane kaa rasta yahii hamvaar karte hai.n
ta.alluq un kaa hai buu-jahl ke gande ’aqiide se
nabii kii shaukat-o-rif'at se jo inkaar karte hai.n
kabhii aKHlaaq hii se kaaTte hai.n zulm kii Tahnii
kabhii shaaKH-e-shajar ko mustafaa talvaar karte hai.n
hame.n allaah vaalo.n ne vafaadaarii sikhaa.ii hai
nabii se be-vafaa.ii be-hayaa Gaddaar karte hai.n
nazar apnii jhukaa kar pa.Dhte hai.n vo lauh kaa likkhaa
kahaa.n har raaz-e-sar-basta kaa vo iz.haar karte hai.n
raqam az KHud kabhii mai.n sher ko.ii kar nahii.n saktaa
madad sarkaar karte hai.n madad sarkaar karte hai.n
'fariidii' shaa.irii jab naam hai un kii 'ataa.o.n kaa
taKHayyul par bharosaa phir to ham be-kaar karte hai.n

- Book : Takhilat (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.