manzar fazaa-e-dahr me.n saaraa 'alii kaa hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف۔عراق)
manzar fazaa-e-dahr me.n saaraa 'alii kaa hai
jis samt dekhtaa huu.n nazaara 'alii kaa hai
duniyaa-e-aashtii kii phaban mujtabaa-e-husn
laKHt-e-jigar nabii kaa to pyaaraa 'alii kaa hai
hastii kii aab-o-taab husain aasmaa.n janaab
zahraa kaa laal raaj-dulaaraa alii kaa hai
marhab do niim hai sar-e-KHaibar pa.Daa hu.aa
uThne kaa ab nahii.n ki ye maaraa 'alii kaa hai
kal kaa jamaal mazhar-e-kul me.n 'aks-rez
gho.De pe hai.n hasiin nazaara alii kaa hai
ai arz-e-paak tujh ko mubaarak ki tere paas
parcham nabii kaa chaa.nd sitaaraa 'alii kaa hai
ahl-e-havas kii luqma-e-tar par rahii nazar
naan-e-javii.n pe sirf guzaaraa 'alii kaa hai
tum daKHl de rahe ho aqiidat ke baab me.n
dekho mo.aamla ye hamaaraa 'alii kaa hai
ham faqar-e-mast chaahne vaale 'alii ke hai.n
dil par hamaare sirf ijaaraa 'alii kaa hai
aasaar pa.Dh ke mehdii-e-dauraa.n ke yuu.n lagaa
jaise zuhuur vo bhii dobaara 'alii kaa hai
duniyaa me.n aur kaun hai apnaa ba-juz 'alii
ham be-kaso.n ko hai to sahaaraa 'alii kaa hai
tuu kyaa hai aur kyaa hai tere ilm kii bisaat
tujh par karam 'nasiir' ye saaraa 'alii kaa hai

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 274)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.