gardisho.n ko mil nahii.n saktaa Gubaar-e-faatima

Maqbool Ahmad Ansari
MORE BYMaqbool Ahmad Ansari
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت فاطمہ زہرا (مدینہ-عرب)
gardisho.n ko mil nahii.n saktaa Gubaar-e-faatima
bachha-bachha diin kaa hai jaa.n-nisaar-e-faatima
us kii chakkii se zamaane bhar ko miltii hai Gizaa
hashr tak qaa.im rahegaa iqtidaar-e-faatima
maGfirat hii chaahte ho to gunah-gaaro chalo
siidhe jannat ko ga.ii hai rahguzaar-e-faatima
aasmaa.n hairat-zada hai ye zamii.n hai ashk-baar
luT rahaa hai dasht me.n baaG-e-bahaar-e-faatima
aayat-e-tathiir se allaah ne saabit kiyaa
hai kalaam-e-paak bhii to raazd-daar-e-fatima
is liye ham ne sajaa lii shaan se mahfil 'zafar'
de.nge nashtar bil-yaqii.n kHaak-e-dayaar-e-faatima

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 274)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.