raunaq-e-shaan-e-be-nishaa.n naam-o-nishaa.n me.n bhii aa

Maulana Abdul Qadeer Hasrat
MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat
raunaq-e-shaan-e-be-nishaa.n naam-o-nishaa.n me.n bhii aa
zeb-e-fizaa-e-laa-makaa.n ab to makaa.n me.n bhii aa
jahl me.n nuur ban ke aa shak me.n sukuun ban ke aa
ban ke yaqiin kii chamak vahm-o-gumaan me.n bhii aa
aa.nkho.n me.n nuur ban ke aa dil me.n suruur ban ke aa
ban ke hayaat-e-jaavedaa.n tuu merii jaan me.n bhii aa
dil to miraa hai teraa ghar phir tuu hai merii jaa.n kidhar
rahtaa hai kyuu.n idhar udhar apne makaan me.n bhii aa
mulk-e-Ginaa-e-zaat me.n jalva-garii bahut rahii
parda-e-Gaib se nikal bazm-e-'ayaa.n me.n bhii aa
sub.h-e-ummiid ban ke aa diida-e-intizaar me.n
naGma-e-jaa.n-fizaa sunaa lutf kii shaan me.n bhii aa
partav-e-'izz-o-jaah Daal sar pe tu mere taaj ban
kar tu dil 'aduu-figaar tiir-o-kamaan me.n bhii aa
KHauf se tere paash-paash ‘hasrat’-e-be-navaa kaa dil
bahr-e-sukuun-e-jaan-o-dil amiin-o-amaan me.n bhii aa

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.